IND vs AUS 1st Test:Record Win For India Against Australia:

IND vs AUS 1st Test:Bumrah Leading India To Famous Victory Against Australia:

IND 1st inn- 150-10(Nitish Kumar Reddy-41, Hazlewood -4 Wickets)

AUS 1st Inn - 104-10(Starc-25,Bumrah-5 Wickets)

IND 2nd Inn- 487-6dec(Jaiswal-161,Kohli-100*,KL Rahul-77)

AUS 2nd Inn:238-10(Head-89,Bumrah-3 Wickets)

India won 1st Test By 295 Runs.

Biggest Win For India In SENA Countries.

Picture Credit-News18


Team India Ne Australia Ke Khilaf Ek Record 295 Runs Ki Ek Record Win Hasil Ki Hai.
Captain Jasprit Bumrah Ke Under Team India Ne Australia Ko Apne Home Ground Par Ek Karari Har Ka Samana Karna Pada.
Team India Jo Ki Apni Home Ground Par Newzealand Se 3-0 Haarne Ke Baad Australia Aayi Thi.
Australia Apne Gharpar Khel Rahi Hai To Sabne Australia Ko Hi Favorites Bataya Tha.
lekin Captain Jasprit Bumrah Jo Ki Rohit Sharma Ke Absence Me Captaincy Kar Rahe Hai Unke Irade Kuch Alag the.

New Team India With New Josh:

Pic Credit-indiancricketteam


Is Match Me Indian Team Ke Regular Captain Rohit Sharma Apne Personal Reasons Ke Wajah Se Nahi Khel Paye.To Unki Jagah Vice-Captain Jasprit Bumrah Ne Captaincy Ki Jimmedari Sambhali.Bumrah Ko Bhi Waise Captaincy Ka Jyada Experience Nahi Hai.Unka Ye Sirf Dusra Test Match Tha As A Captain.Lekin Unki Captaincy Ko Dekhkar Aisa Laga nahi Ki Wo Inexperienced Captain Hai.
Team India Ne First Test Match Me 2 Debutants Khilaye The.
Harshit Rana Jo Ki Ek Fast Bowler Hai Aur Nitish Kumar Reddy Jo Ki Ek Allrounder hai.
In Dono Ne Is Match Me Apni Ek Chhap Chhodi Hai.Nitish Kumar Reddy Ne India Ko First Innings Me Rishabh Pant Ke Sath Ek Achhi Partnership Karke Team Ko 150 Score Tak Pahuchaya Tha.Nitish Kumar Reddy Ne First Innings Me Sabse Jyada 41 Runs Banaye The.

Captain's Spell By Jasprit Bumrah:

Pic Credit-indiancricketteam


Jasprit Bumrah Ko Is Match me Apne Shandar Spell Ke Liye Man Of The Match Diya Gaya.
Jasprit Bumrah Jo Ki 1st Test Match Me Captaincy Kar Rahe The.Unhone Apne Career Ka 11 Va Fifer Lekar Australia Ke Batting Ki First Innings Me Kamar Hi Tod Di.
Bumrah Ne Unke Experienced Ballebaj Steven Smith Ko Pehle Hi Ball Par 0 Par Out karke Australia Ko Backfoot Pe Daal Diya Tha.
Jasprit Bumrah Ne Australia ke 5 Ballebaj Out Kiye.Nitish Rana Jo Ki Apna Test Debut Kar Rahe The Unhone Australia Ke Ghatak Batsman Travis Head Ko Saste Me Out Kar Diya.Jasprit Bumrah Ko Mohhamed Siraj Aur Nitish Rana Ka Achha Sath Mila Tha.Aur Australia Apne First innings Me Sirf 104 Runs Bana Payi,Aur India Ko 46 Runs Ki Important Lead Mil Gayi Thi.

Record Opening Partnership By Jaiswal And KL Rahul:

Pic Credit-indiancricketteam


Yashaswi Jaiswal Aur KL Rahul Ke Bich 2nd Innings Me Record 201 Runs Ki Opening Partnership Hui.Ye Partnership India Ke Liye Australia Me Opening Wicket Ke Liye Highest Partnership Hai.
Isse Pehle K.Srikanth Aur Sunil Gavaskar Ke Bich 1986 Me Sydney Me 191 Ki Partnership Hui Thi. 
KL Rahul Ne Shandar 77 Runs Banaye Aur Yashasvi Jaiswal Ne Ek Shandaar Century Lagayi Aur 161 Runs Ki Ek Shandaar Innings Kheli Thi.

King Kohli Back In Form:

Pic Credit-indiancricketteam

Virat Kohli Jo Ki Filhal Kharab Form Se Gujar Rahe Hai.Kohli Ne Newzealand Ke Khilaf Bhi Achh Performance Nahi Diya Tha.Aur Australia Ke Khilaf First Innings Me Bhi Sirf 5 Runs Banaye The.
Lekin Virat Kohli Ne 2nd Innings Me Ek Sambhali Hui Shuruvat Karte Hue Ek Shandaar Century Lagayi.  Virat Kohli 100* Par Not Out Innings Khel Kar Gaye.Virat Kohli Ne Apne Career Ki 30th Century Jad Thi.Aur Overall 81st Century Lagayi Hai.
Virat Kohli Ne India Ke Taraf Se Australia Me Test Me Sabse Jyada 7 Centuries Lagakar Great Sachin Tendulkar Ka Record Jo Ki 6 Centuries Ka Tha Wo Bhi Tod Diya.

Australia Not Able To Chase:

India Ne 2nd Innings Me Jaiswal Aur Kohli Ki Century Ke Badolat 487 Runs Banakar Innings Ko Declare Kar diya Tha.
Australia Ke Samne 534 Runs Ka Bohot Bada Target Diya Gaya.Jo Ki Impossible Laga Raha Tha.Aur Captain Bumrah Ne 2nd Innings Me Bhi Ek Achhi Shuruvat Dete Hue 3rd Din Ke Khatam Hote Hote Australia Ke 12 Runs Par 3 Wicket Out Ho Gaye The.
4th Day Me Travis Head Aur Mitchell Marsh Kuch achhe Shots Khele Aur Ek Achhi Partnership Banayi Lekin Wo Bhi Out Ho Gaye.
Jasprit Bumrah Ne Danger Lag Rahe Travis Head Ko 89 Runs Par Out Karke Australia Ke Jeet Ki Ummido Par Pani Fer Diya Aur Akhirkar Australia Ne Sirf 238 Runs Banaye,Aur 295 Runs Se Haar Gaya.




टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Washington Sundar made a huge come back after 3 years in test Cricket

Sanju Samson Reveal How Suryakumar Yadav Backed Him